ḳhush-baḳht haiñ āzād haiñ jo apne suḳhan meñ
ḳhush-baḳht haiñ jo qaid hai nekī ke chalan meñ
is aañkh ne kyā hotā huā dekh liyā hai
bhauñchāl sā barpā hai ajab mere badan meñ
jo kaam karo jab bhī karo Duub ke us meñ
har ek tahayyur hai junūñ-zād lagan meñ
ġhammāz to kuchh hotā hai ādāt kā chehra
sūraj kā tasavvur bhī to hotā hai kiran meñ
Abrar Hamid